Stock Market का Black Magician
Описание
Joseph P Kennedy: Father of former US president an Insider Trader
Apne aise log to kaafi dekhe honge jo apne fayde ke liye dusro ko keechad me dhakel dete hain. But kya apne koi aisa insaan dekha hai jo logo ka fayda uthane ke bad usi keechad ko saaf bhi kar deta hai jisse wahi kaam koi aur na kar sake?
Ham bat kar rahe hain ek political family me paida hue Joseph Kennedy ki jo pehle ek bank me kaam karte the. Kaam karte karte us bank ke president ban gaye aur phir wahi se loan le lekar 1920 ke daur me stock market me investment karne lage.
Profit kamane ke liye inki 2 strategies hoti thi. Pehle to companies me maujood apne connections ki madad se jamke insider trading karo. Sath hi media ko bhi paise deke kaho ki jao in stock ka retail investors ke bich ache se promotion karo jisse wo usme invest karke uska price badha dete the aur Kennedy pump aur dump scheme se laakho dollars kamate the.
Arey Kennedy par to 1929 ke Great depression ka bhi koi asar nahi hua. Insider connections ki wajah se unhe pehle hi pata chal gaya tha ki market niche jane wala hai to unhone us time se pump and dump ki jagah par shorting shuru kar di aur crash ka bhi jamke fayda hua.
1934 me us time ke US president Franklin Roosevelt ne surprisingly unhe US Security & Exchange Commission (SEC) ka president bana diya jiske picche reason ye diya ki ek chor hi dusre chor ko pakad sakta hai. Kennedy ne is bat ko sahi bhi sabit kiya aur aate hi sabse pehle insider trading ke against majboot rules banaye. Matlab Ise hi kehte hain 900 chuhe khake billi haj ko chali. Ye wahi Kennedy the jinke bete John Kennedy aage chalke USA ke president bane.