Добро пожаловать
Вход / Создать Плейлист

Manu Manek: शेयर बाज़ार का Black Cobra

Спасибо! Поделитесь с друзьями!

URL

Вам не понравилось видео. Спасибо за то что поделились своим мнением!

Sorry, only registred users can create playlists.
URL


Добавлено by Admin В Рынок ценных бумаг
65 Просмотры

Описание

Manu Manek: The Black Cobra of the Indian Stock Market

Koi bhi company jab stock market me aati hai to yehi chahti hai ki log uske shares me invest ya trade karein. But Indian Stock market me 80s ke dashak me ek insaan ka khauf kuch aisa tha ki koi bhi company nahi chahti thi ki wo uske shares me haath tak lagaye.

Kolkata me paida hue Manu Manek Rakesh Jhunjhunwala, Radhakrishan Damani aur bakiyon ke sath ek bear cartel chalate the. Inki strategy wait and kill ki hoti thi jis wajah se inko stock market ka black cobra bhi kehte hain.

Pehle ye share price ke upar jane ka wait karte the aur jab aisa lagta tha ki price isse upar ni jaa sakti to wo shares ko short karte the. Phir share ke price ko kuch aisa manipulate karte the ki wo aasman se zameen par aa girta tha. Isse unko to kaafi fayda hota tha but us company ki haalat kharab ho jati thi.

Ab iski wajah se koi bhi company ye nahi chahti thi ki Manu unke shares me shorting kare. Isi wajah se jab Manu ne Reliance ke shares me shorting ki tab Dhirubhai Ambani ne jaise taise apne company ke shares ko niche aane se bachaya aur Is wajah se Manu ko loss bhi jhelna para.

Lekin phir ye khauf aur varchasva (domination) khatam ho gaya jab 90s me jab Big Bull Harshad Mehta ke sath bear vs bull battle me Manu ka bear cartel puri tarah se flop ho gaya. Tab jake companies ne raahat ki saans li aur ye stock market ka cobra vilupt (extinct) sa ho gaya.

Написать комментарий

Комментарии

Комментариев нет. Будьте первым кто оставит комментарий.
RSS