Maggi की वजह से ये Stock पिट गया
Описание
#maggi #nestle #stockmarketindia
Effect of Maggi ban on Nestle Stocks
Jab kabhi buukh lage aur 2 minute mein kuch chaiye ho toh yaad aati hai, Maggi. Lekin sabki chaheti Maggi ne bhi kuch bure din zaroor dekhke. Saal 2015, Maggi mein unhealthy substance such as MSG aur Lead paaya gya, jiski wajah se Sarkar ne Maggi pe lagaya ban, aur asar dikhne laga Nestle India ke Stock par.
Nestle ke revenue mein Maggi ka 30% ka hissa tha. Ban ke chakkar mein Nestle ko 1100 Cr ka loss toh hua hi, aur uske upar 20 Cr Ambuja Cement ko dene pade Maggi Ke stocks ko destroy krne ke liye.
Doosri aur nestle india ka share May 2015 me 7000 rupay se upar tha, wohi share Nov 2015 tak aate aate 5600 tak pohanch gaya.
Lekin nestle ne haar nahi maani, Ban hone ke baad usne maggi ki recipes main changes par kaam shuru kar diya, Aur saath hi saath, maggi ka ad campaign tv aur social media par chalaya, Tab jabki maggi market mein thi bhi nahi. Yeh isliye bhi zaroori tha kyunki competitors Yippie aur Knor Soupy Noodles mauke ka fayda uthaane lage the.
Kyunki nestle chahta tha ki log maggi ko naa bhulen. Hua bhi yahi, jab Nov 9 2015, ko maggi ka ban hataa aur dobara market me aayi, Tab uski bikri ek dum bhad gayi,
Aur jo nestle ka share maggi ke ban hone par me 5600 tak pohanch gaya woh aaj 20000 ke karib hai aur Nestle ne apne ban ki nuksaan ki bharpai 3 hi saal mein krdi.