5 साल का बच्चा और ₹12000 करोड़ Stock Market से
Описание
Seth Klarman
Jaise Poot ke paanv paalne me hi dikh jate hain, waise hi is mahaan investor ke lakshan uske bachpan me hi dikh gaye the jab 5th class me inhone stock investment kaise karte hain, uspe ek presentation diya.
Uske thode time bad hi Johnson & Johnson ka pehla share khareeda aur jab is investment par triple return mili to stockbroker ki advice ke basis par regularly invest karne lage.
Graduation complete karne ke bad college ke professor ke sath hi milke Baupost Group ke name se ek hedge fund khola aur 27 million dollar ke capital ke sath pehli investment ki. Phir Investment ke liye 3 strategies apnayi.
Pehla ki hamesha ek safety margin leke chalo. Matlab agar lag raha hai ki kisi stock ki sahi keemat 500 rupaye hai to usko 400 rupaye me hi khareedo jisse apke pas 100 rupaye ka margin rahe aur apki analysis me galti bhi ho tab bhi apko fayda mile. Dusra ye ki sare paise invest karne ki jagah hamesha kuch paise apne paas rakho jisse ki loss ke case me diwaliya na hona pare.
Teesri startegy unki hoti hai value investing ki, matlab company ka fundamental analysis karo aur jo value sahi lage us value par tike raho chahe stock ki price kitna bhi niche jaye. Wo maante hain ki company ki sahi value investors ko kabhi dhokha nahi deti.
Inhi 3 strategies ke bal boote Klarman ne apni hedge funs ka net worth 27 million dollar se 27 billion dollar kar diya hai jab ki unka khud ka net worth 150 crore dollar yaani ki 12 hazaar crore rupaye hai. Investing ke sath sath ye value investing par book bhi likhte hain aur Warren Buffet ne khud inki book padhne aur usse seekhne ki bat ki hai.